Hello Everyone!

I bow down to the Divine in you…..

Jeevan ek aisi yatra hai jiska hame hi nahi pata kab kya hoga…. Bas pata hai to vartmaan me jeena hai hame, we have to do whatever we want to right now. We meet so many people in this journey, all we met are just part of journey, no one is permanent…

Something strange happens to us, sometimes we meet someone and he says: Oh! Aap dekhe dekhe lag rahe… (Is time pe meri dhadkne tez ho jaati hai😬🙈 apne karm yaad aa jaate obviously bure wale, vaise kyaa sach me koi karm achha yaa bura hota hai?) Let me know what you feel when someone says this to you.

Now let share an incident happened on last Saturday, after watching Swami Ji’s latest Lecture on Karma

YouTube video
My Mom said: Jaa parchune ki shop se Ration le aa, mai bhi chala gaya, apni scooty li or paas ki market me chala gaya… Ab raste me hame jana tha ATM, paise nikalwane the(Shop me online payment thi but hame cash bhi chahiye tha so jana pada). Jab mai gaya to ATM ji out of service ho gaye… Ab kyaa paas me 4km door ek or atm tha mai waha gaya, yaha ke ATM out of service nahi the, in bhai sahab ke paas cash hi nahi tha 😄😂… Ab kyaa jab itna door aa hi gaya tha to socha ab badi market chala hi jata 4 km or sahi… So mai chala gaya market…

Ab parchune ki shop me list de di, ab mujhe kya pata tha ki jinko list di vo Uncle bahut hi shaant swabhaav ke the, itne shaant the ki 1 ghanta laga diya samaan dene me, list badi thi but itni bhi nahi 😄😂…

Isi beech kai log aaye samaan liye or chale gaye, but ham wahi ruke hi reh gaya🙈. Tabhi paas k clg me padhne wale bachhe aaye(vo mere se badhe the but mai tab bhi bachaa hi bol raha hu😂😂…) He was a budhhist from Lahul(maine poocha nahi vo baat kar rhe the dost mil ke to pata chal gaya) Mujhe dekh  vo hansa or mai bhi hansa(mask pehne the but haan aankhon ko dekh pata chal gaya ki smile paas hui hai 😄🙈… Iske baad us se baat hui, maine poocha kis clg me ho kya course hai, vo kuch nahi bataya seedha bola vo “Aisa lagta hai aapko dekha hai pehle”… bas itna sunte hi ham soch me padh gaye kaha  dekha kaise dekha…. See usne ho sakta aise hi bol diya ho but mere dimaag me to baat chal padi naa uski, this is a distraction too… We have to cut the roots of a thought which is not important to us… I’m telling you what to do but still I’m planting it’s roots on my blog😄😂😄😂😂….. Oh Lord Save me…