All I know from my childhood,

Maa tum karunamayee ho

Maa tum Vatsalya sindhu ho

Maa tum sharanagat Vatsala ho

Maa tum Daya ki sagar ho

Maa Maa Maa Maa Maa Maa

Mujhe kyu nahi apnati fir?

Thori si karuna kyu nahi dikhati?

Thore se vatsalya ki varsha kyu nahi karti?

Apni sharan me kyu nahi rakhti?

Β 

Maa bahut mushkil hai is kalikaal me tumhari or chalna, Maan lo koi bachha jis kuch pata nahi chal bhi pada tumhari or, use nahi pata tum pariksha leti ho, vo to maa k paas aaya hai Devi ke paas nahi jo pariksha le…

Maa tum yadi aisi sthiti deti rahogi Mai kaise chalunga Maa…

Mai naraz bhi tujhse hu Maa, mai nahi aane wala the us raah me jo tujh tak jaaye, tumne mujhe apna parichay diya hi kyu jab milna nahi tha or aisi pariksha leni hai meri, rehne deti mujhe ghor vishayo me, rehne deti mujhe isi haal me…

Β 

Mera sab kuch ho tum, aisa kab hoga Maa…. Mujhe godi me utha lo Maa, yaa to Mrityu kaa daan de do Maa yaa to aa hi jaao…

Shareer ko janm dene wali mata me tumhe dekha hai maa, lekin is roop me hi tum mere pratikool ho gayio… Maa maine kisi ko sansar me nahi chaha jitna tumhe, aap aisa kyu kar rhi hai hamare sath… Hame chalne de is raah me taaki Mai apne Govind me mil jau, ye uphaar aapke liye hi hai Maa…. Is shareer ko janm diya hai aapne jo bhi karunga aapke liye hi karunga Maa mujhe chalne do maa…. Maa aap aisa karogi to mai kaisa chalunga is raaste me….

Β 

Shri Mata Shri Mata Shri Mata