Ghar naya tha. Log purane.
Baate wahi se shuru huyi jaha saalo pehale chorke rakhi thi.
Kuch nahi badla tha, lekin haan sadke badal gayi thi. Thodi jayada saaf suthari, thodi jayada light lagi huyi.

Bade sahero mei rehne k baad, apne bachpan ki galiya bahut choti and bahut sankari dikh rhi thi. Yeh wohi raaste hai, jinke us paar jaane mei mujhe darr lagta tha. Ghabarati thi mei. Ab bas yeh lagta hai kitni badi ho gayi mei. Jaise Gulliver Lilliput mei aa gaya ho.

To baat wapas ghar ki. Ghar naya tha. Log purane the. Logo k tarike, wohi purane wale. Apne bachpan ko dundh rhi thi mei – waise yeh baat mujhe bhi nahi malum thi.

Hum jab bade hote hai, anjaane mei kaafi kuch baate humari sub conscious mei reh jaati hai. Jaise ki yeh steel ka katora. Medium size. Side mei iske barni si hai. Aise 2 aur katore the. 1 isse bada, aur 1 aur bhi chota.

Shaam ko school se aakar mei ismei khana khati thi. Katore mei daal, chawal, aur aam ka achar. Swarg yahi tha. Bhara huya peat, kaafi saare dukh bhaga deta hai. Aur bachpan mei chinta karne ki jayada aadat bhi to nahi thi.

To yeh steel ka katora. Saal beet gye. Log chale gye. Reh gaya to yeh katora.. aur yaade.

Yeh krishn ji ki murti dekh rhe ho. Phone stand p ek kone mei rakhi jaati thi. Aaj bhi yaad hai, kaise padosi ko aisa laga ki krishnji ko humne kapde pehnaye hai. Jab ki khali paint lagaya gaya tha.

Har ek cheez, bachpan ke konno se judi huyi thi. Is krishnji ki murti k piche mei aur meri behan choti choti cheeze chupate the. Kai baar mera mann kiya ki mei hi deepawali k pehale murti ko paint karu. Dhoti ka rang gulabi kar du, Kanhaiya ji k neele shareer p kitna jachega. Aur border ka chamakta huya sunehara.

Lekin ghar walo ko yeh murti atti priya tha aur meri painting pe confidence kam. To yeh kabhi huya nahi. Wo krishnji ki murti aaj bhi khadi hai. Par ab landline ka zamana hai nahi. To krishnji bechare akele hi hai.

Naye ghar ki acchi baat yeh hoti hai, aap na chahte huye bhi purani aadate le aate ho. Pehale thoda sarikhe se rehte ho, phir aapki personality ghar ki personality ho jaati hai. Dheere dheere naya ghar bhi purana hi ho jata hai. Aur nayi yaado ka poster deewaro par, ghar k konne mei, and kitchen ke bartano mei bas jaata hai.

Mujhe purane gharo ko dekhna accha lagta hai. Lakadi ke chokhat ki chikanayi acchi lagti hai. Wo crayon se goddi huyi lineye, wo puja ke diya se bana huya chaat pe kaala nishaan. Yeh sab accha lagta hai.
Jab mei choti thi in sab nishano mei apni kahaniye dhundhati thi. Ab badi hu to yeh nishaan dhundh rhi hu.

Mere bachpan ka ghar ek mehfooz jagah pe hai. Yaha yeh ghar nahi tootega, yaha koi loan nahi chadha hai. Yaha yeh hamesha ke liye hai. Aur mei roz is ghar mei chakar kaatati hu.